Friday, January 16, 2015

Yun hi besabab na phira karo koi sham ghar bhi raha karo

Abhi rah main kai mor hain koi aye ga koi jaey ga
tumhe jis ne dil se bhula dia  usy bholne ki dua kro

mujhe ishtahar si lagti hain ye mohabbaton ki kahaniyan
jo kaha nahi wo suna karo, jo suna nahi wo kaha karo

Yun hi besabab na phira kro koi sham ghar bhi rha kro
ye ghazal ki sachi kitab hai isy chupky chupky parha karo

Koi haath bhi na milaye ga jo galay milo ge tapak se
ye nae mizaaj ka shehar hai zara faslay se mila karo

No comments:

Post a Comment