Is se pehle ke Bewafa ho jayein
Kion na ae Dost hum juda ho jayein
Tu bhi heeray se ban gaya patthar
Hum bhi jaane kya ho jayein
Tu ke yakta thaa beshumaar huwa
Hum bhi toote tu jaa bajaa ho jayein
Hum bhi majboriyoo ka uzar karein
Phir kaheen aur mubtala ho jayein
Hum agar manzileen na ban payein
Manziloo tak ka raasta ho jayein
Deir se soch mein hain parwaane
Raakh ho jayein ya hawa ho jayein
Ab ke gar tu mile tu hum tujh se
Aise liptay ke qaba ho jayein
Bandagi hum ne chor di hai Faraz
Kya karein jab log Khuda ho jayein
------------------------------------
Ghazal by Ahmad Faraz
No comments:
Post a Comment