Tuesday, January 13, 2015

jo meri aankhoan se khwab dekho

jo meri aankhoan se khwab dekho
to aik shab bhi na so sako ge

ke lakh chaho na hans sako ge
hazar chaho na ro sako ge

ke khwab kia hain azab hain ye
meri dukhon ki kitaab hain ye

rafaqatain in main choot ti hain
muhabatain in main rooth ti hain

panapti hain in main wahshatain si
azeeyatain in main phoot ti hain

No comments:

Post a Comment