Friday, January 16, 2015

ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan jaana - Ahmad Faraz

ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan jana 
yaad kya tujh ko dilayen tera paimaan jaanaa
yun hi mausam ki ada dekh ke yaad aya hai 
kis qadar jald badal jaate hain insaan jana
zindagii teri ataa thi so tere naam ki hai 
ham ne jaise bhi basar ki teraa ehasaan jana
dil ye kehta hai k shaayad ho fasurda tu bhi 
dil ki kyaa baat karen dil to hai nadaan jana
awal-awal ki muhabbat ke nashe yaad to kar 
be-piye bhi tera chehara tha gulistaan jana
aakhir aakhir to ye aalam hai ki ab hosh nah 
rag-e-mina sulag uthi i rag-e-jaan jana
muddaton se ye aalam na tawaqqo na umeed 
dil pukaare hi chala jata hai jana jana
ham bhi kya sada they ham ne bhi samajh rakha tha
Gham-e-dauraan se juda hai Gham-e-jana jana
ab ki kuch aisi saji mahafil-e-yaaraan jana
sar-ba-zaanuu hai koi sar-ba-girebaan jana
har koi apani hii awaaz se kaanp uthata hai 
har koi apane hi saaye se hirasaan jana
jis ko dekho wahii zanjir-ba-paa lagta hai 
shehar ka shehar howa daakhil-e-zindaan jana
ab tera zikar bhi shaayad hi Ghazal mein aaye 
aur se aur howa dard ka unwaan jana
ham k ruthi howi rut ko bhi mana lete they 
ham ne dekha hi na tha mausam-e-hijraan jana
hosh aaya to sabhi Khawaab they reza reza
jaise urhate howe auraaq-e-pareshaan jana

Poet: Ahmad Faraz

No comments:

Post a Comment