Thursday, April 23, 2015
Thursday, February 26, 2015
Jaun Elia kaun sood o ziyan ki duniya mein
A bitter truth by Jaun Elia:
kaun sood o ziyaan ki dunia mein
dard e ghurbat ka saath deta hai
jab muqabil hoon ishq aur daulat
husn daulat ka saath daita hai
Khatra hai by Jaun Elia
Khatra hai - a master piece by Jaun Elia
Aish E Umeed Hi Se Khatra Hai..
Dil Ko Ab Dil Dahi Se Khatra Hai..
Hai Kuch Aisa Kay Uski Jalwat Mein..
Hamein Apni Kami Se Khatra Hai..
Jis Ki Aghosh Ka Hoon Deewana..
Us Ki Aghosh Hi Sey Khatra Hai..
Yaad Ki Dhoop To Hai Rouz Ki Baat..
Han Mujhe Chandni Sey Khatra Hai..
Hai Ajab Kuch Maa'mla Dar-Paish..
Aql Ko Aaga'ahi Sey Khatra Hai..
Sheher E Ghaddar Jaan Ley Kay Tujhe..
Aik Amroohi Sey Khatra Hai..
Main Kahoon Kis Tarhan Yeh Baat Us Sey..
Tujh Ko Janam Mujhi Sey Khatra Hai..
Aaj Bhi Aye Kanaar E Baan Mujhe
Teri Ik Sanwali Sey Khatra Hai..
In Laboun Ka Lahoo Na Pee Jaon..
Apni Tishna Labi Sey Khatra Hai..
Jaun Hi To Hai Jaun Kay Darpay..
Meer Ko Meer Hi Sey Khatra Hai..
Ab Nahin Baat Koi Khatray Ki..
In Sabhi Ko Sabhi Sey Khatra Hai..

jee hi jee mein woh Jal rahi hogi by Jaun Elia
jee hi jee mein woh Jal rahi hogi
Jaun Elia sahab ki aik intihai khubsurat aur musalsal ghazal:
jee hi jee mein woh Jal rahi hogi
chandni mein tehal rahi hogi
chaand ne taan lee hai chadar e abr
ab woh kapray badal rahi hogi
so gai ho gi wo shafaq indaam
sabz qandeel jal rahi ho gee
surkh aur sabz wadiyon ki taraf
woh mere saath chal rahi hogi
charhtay charhtay kisi pahaari per..
ab woh karvat badal rahi hogi..
pairh Ki Chaal Se Raggar Kha Ker..
woh tanay se phisal rahi hogi..
ho ke khwab e aesh sey bedar
kitni hi dair shal rahi hogi
Allah he dega maula he dega by Jaun Elia
dil hai sawali tujh se dil aara, Allah hi dega maula hi dega
aas hai teri hee dil dara, Allah hi dega maula hi dega
palkon ki jholi phaili hai, par jain us main kuch kirnain
tu hai dil akash ka tara, Allah he dega maula he dega
aik sada honton pe le ke, teri gali main sham hue se
aa nikla hai ek bechara, Allah hi dega maula hi dega

Mehak utha hai aangan is khabar se - Jaun Elia
Mehak utha hai aangan is khabar se
Woh khushboo lot aa'i hai safar se
Judaa'i ne usse dekha sarr-e-baam
Dareenche par shafaq ke rang barse
Mai is deewaar par chadh to gaya tha
Utare kon ab deewar par se
Gilla hai ek gali se shehar-e-dil ki
Mai ladta phir raha hun shehr bhar se,
Mere maanand guzra kar meri jaan
Kabhi to khud bhi apni raahguzar se
Woh khushboo lot aa'i hai safar se
Judaa'i ne usse dekha sarr-e-baam
Dareenche par shafaq ke rang barse
Mai is deewaar par chadh to gaya tha
Utare kon ab deewar par se
Gilla hai ek gali se shehar-e-dil ki
Mai ladta phir raha hun shehr bhar se,
Mere maanand guzra kar meri jaan
Kabhi to khud bhi apni raahguzar se
Naya ek rishta paida kyun karain hum by Jaun Elia
Naya ek rishta paida kyun karain hum
Bicharna hai to jhhagra kyon karain hum
Bicharna hai to jhhagra kyon karain hum
Khamoshi se ada ho rasm.e.Duri
Koi humgama barpa kyon karain hum
Koi humgama barpa kyon karain hum
Ye kafi hai k hum dushman nahi hain
Wafa-Dari ka da’awa kyon karain hum
Wafa-Dari ka da’awa kyon karain hum
Wafa, ikhlaas, qurbani, mohabbat
Ab inn lafzon ka peecha kyon karain hum
Ab inn lafzon ka peecha kyon karain hum
Suna dain ismat.e.Maryam ka qissa?
Par ab iss baab ko waa kyon karain hum
Par ab iss baab ko waa kyon karain hum
Zulekhaa.e.Azeezaan baat ye hai
Bhala ghaatay ka sauda kyon karain hum
Bhala ghaatay ka sauda kyon karain hum
Hamari hee tamanna kyon karo tum
Tumhari hee tamanna kyon karain hum
Tumhari hee tamanna kyon karain hum
Kia tha e’had jab lamhon mein hum nay
To saari umar iifa kyon karain hum
To saari umar iifa kyon karain hum
Nahi dunya ko jab parwah hamari
To phir dunya ki parwah kyon karain hum
To phir dunya ki parwah kyon karain hum
Barehna hain sar.e.Bazaar to kia
Bhala andhon se pardah kyon karain hum
Bhala andhon se pardah kyon karain hum
Hain baashinday issi basti ke hum bhi
So khud par bhi bharosa kyon karain hum
So khud par bhi bharosa kyon karain hum
Pari rehnay do insaanon ki laashain
Zameen ka bojh halka kyon karain hum
Zameen ka bojh halka kyon karain hum
Ye basti hai muslamaanon ki basti
Yahan kar.e.Maseeha kyon karain hum
Yahan kar.e.Maseeha kyon karain hum
Poet: Jaun Elia
Friday, February 13, 2015
A shair by Jaun Elia
ab to jis toar bhi guzar jaye koi israr zindagi se nahi
us ke gham main kiya sabhi ko maaf koi shikwa bhi ab kisee se nahi
us ke gham main kiya sabhi ko maaf koi shikwa bhi ab kisee se nahi
Ramz by Jaun Elia
Ramz
tum jab ao gee to khoya hua pao gee mujhe
meri tanhai main khwaboan ke siwa kuch bhi nahi
mere kamre ko sajane ki tamanna hai tumhain
mere kamre main kitaboan ke siwa kuch bhi nahi
in kitaboan ne bara zulm kiya hai mujh par
inn main aik ramz hai jis ramz ka mara hua zehan
muzda e ishrat e anjam nahi pasakta
zindagi main kabhi aram nahi pasakta

Wednesday, February 11, 2015
koi deewana kehta hai - Dr. Kumar Vishwas
Koi Deewana Kehta Hai Koi Pagal Samajhta Hai
Magar Dharti Ki Bechani Ko Bus Badal Samajhta Hai
Mein Tujhse Door Kaisa Hoon, Tu Mujhse Door Kaisi Hai
Ye Tera Dil Samajhta Hai Ya Mera Dil Samajhta Hai
K Mohhabat Ek Ehsason Ki Pavan Si Kahani Hai
Kabhi Kabira Deewana Tha Kabhi Meera Deewani Hai
Yahan Sab Log Kehte Hain Meri Aakhon Mein Aansu Hai
Jo Tu Samjhe To Moti Hai Jo Na Samjhe To Pani Hai
Samander Peer Ka Aander Hai Lekin Ro Nahi Sakta
Ye Aansu Pyar Ka Moti Hai Isko Kho Nahi Sakta
Meri Chahata Ko Dulhan Tu Bana Lena Magar Sun Le
Jo Mera Ho Nahi Paya Wo Tera Ho Nahi Sakta
Bharar Koi Kumudani Par Machal Baitha To Hungama
Hamare Dil Mein Koi Khawab Pal Baitha To Hungama
Aabhi Tak Doob Kar Sunte The Sab Kissa Mohhabat Ka
Mein Kisse Ko Hakikat Mein Badal Baitha To Hungama

aap apna ghubar thay hum to - Jaun Elia
aap apna ghubaar thay hum to,
yaad thay yaad-gaar thay hum to,
pardagee! humsay kyun rakha perdah,
teray he perdah-dar thay hum to,
waqt kee dhop mein tumhare liye,
shajar-e-saayah-daar thay hum to,
uray jatay hen dhool kee maanind,
aandhiyon per sawaar thay hum to,
humnay kyun khud pe aitebaar kia,
sakht be-aitebaar thay hum to,
sharm hai apnee baar baaree kee,
be-sabab baar baar thay hum to,
kyun humen ker dia gaya majboor,
khud he be-ikhtiyaar thay hum to,
tumnay kesay bhula dia hum ko,
tum say he muta'aar thay hum to,
khush na aaya humen ji'ye jaana,
lamhay lamhay pay baar thay hum to,
seh bhee letay humaray taa'no ko,
jaan-e-mun jaan-nisaar thay hum to,
khud ko doraan-e-haal mein apnay,
be-tarah na-gawaar thay hum to,
tumnay hum to bhee kerdia berbaad,
nadir-e-roz.gaar thay hum to,
hum ko yaaron nay yaad bhee na rakha,
'jaun' yaaron k yaar thay hum to
Poet: Jaun Elia
yaad thay yaad-gaar thay hum to,
pardagee! humsay kyun rakha perdah,
teray he perdah-dar thay hum to,
waqt kee dhop mein tumhare liye,
shajar-e-saayah-daar thay hum to,
uray jatay hen dhool kee maanind,
aandhiyon per sawaar thay hum to,
humnay kyun khud pe aitebaar kia,
sakht be-aitebaar thay hum to,
sharm hai apnee baar baaree kee,
be-sabab baar baar thay hum to,
kyun humen ker dia gaya majboor,
khud he be-ikhtiyaar thay hum to,
tumnay kesay bhula dia hum ko,
tum say he muta'aar thay hum to,
khush na aaya humen ji'ye jaana,
lamhay lamhay pay baar thay hum to,
seh bhee letay humaray taa'no ko,
jaan-e-mun jaan-nisaar thay hum to,
khud ko doraan-e-haal mein apnay,
be-tarah na-gawaar thay hum to,
tumnay hum to bhee kerdia berbaad,
nadir-e-roz.gaar thay hum to,
hum ko yaaron nay yaad bhee na rakha,
'jaun' yaaron k yaar thay hum to
Poet: Jaun Elia
Monday, January 19, 2015
Ahmed Faraz - Is se pehle ke Bewafa ho jayein
Is se pehle ke Bewafa ho jayein
Kion na ae Dost hum juda ho jayein
Tu bhi heeray se ban gaya patthar
Hum bhi jaane kya ho jayein
Tu ke yakta thaa beshumaar huwa
Hum bhi toote tu jaa bajaa ho jayein
Hum bhi majboriyoo ka uzar karein
Phir kaheen aur mubtala ho jayein
Hum agar manzileen na ban payein
Manziloo tak ka raasta ho jayein
Deir se soch mein hain parwaane
Raakh ho jayein ya hawa ho jayein
Ab ke gar tu mile tu hum tujh se
Aise liptay ke qaba ho jayein
Bandagi hum ne chor di hai Faraz
Kya karein jab log Khuda ho jayein
------------------------------------
Ghazal by Ahmad Faraz
Kion na ae Dost hum juda ho jayein
Tu bhi heeray se ban gaya patthar
Hum bhi jaane kya ho jayein
Tu ke yakta thaa beshumaar huwa
Hum bhi toote tu jaa bajaa ho jayein
Hum bhi majboriyoo ka uzar karein
Phir kaheen aur mubtala ho jayein
Hum agar manzileen na ban payein
Manziloo tak ka raasta ho jayein
Deir se soch mein hain parwaane
Raakh ho jayein ya hawa ho jayein
Ab ke gar tu mile tu hum tujh se
Aise liptay ke qaba ho jayein
Bandagi hum ne chor di hai Faraz
Kya karein jab log Khuda ho jayein
------------------------------------
Ghazal by Ahmad Faraz
Saturday, January 17, 2015
Ahmed Faraz - Suna Hai Loag Usay Aankh Bhar Ke Dekhte Hain
Suna Hai Loag Usay Aankh Bhar Ke Dekhte Hain
So Uss Ke Sheher Mein Kuch Din Theher Ke Dekhte Hain
suna hai rabt hai us ko kharab haloan se
so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain
suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naz us ki
so hum bhi uss ki gali se guzar ke dekhte hain
suna hai uss ko bhi hai shair o shairi se shughaf
so hum bhi maujze apne hunar ke dekhte hain
Suna Hai Boley Tou Baaton Se Phool Jhartey Hain
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain
suna hai raat usay chand takta rahta hai
sitare baam falak se utar ke dekhte hain
Suna Hai din Ko Usay Titliyaan Sataati Hai
Suna Hai Raat Ko Jugnoo Theher Ke Dekhte Hain
suna hai aaina tamsal hai jabeen us ki
jo sada dil hain ban sanwar ke dekhte hain
Suna Hai Uss Ke Badan Ki Taraash Aisi Hai
Ke Phool Apni Qabaaein Katar Ke Dekhte Hain
Rukey To Gardishein Uss Ka Tawaaf Karti Hain
Chaley To Uss Ko Zamaaney Theher Ke Dekhte Hain
Kisse Naseeb Ke Be-Pairahan Usay Dekhey
Kabhi Kabhi Dar-O-Deewaar Ghar Ke Dekhte Hain
Kahaaniyaan Hi Sahi, Sab Mubaalghey Hi Sahi
Agar Woh Khawaab Hai, Taabeer Kar Ke Dekhte Hain
Judaaiyaan To Muqadder Hain Phir Bhi Jaan-E-Safar
Kuch Aur Door Zara Saath Chal Ke Dekhte Hain
Too Saamney Hai To Phir Kiyon Yaqeen Nahin Aata
Yeh Baar Baar Jo Aankhon Ko Mal Ke Dekhte Hain
Yeh Kaun Loug Hain Maujood Teri Mehfil Mein
Jo Laalachon Se Tujhey, Mujh Ko Jal Ke Dekhte Hain
Na Tujh Ko Maat Hui Hai Na Mujh Ko Maat Hui
So Ab Ke Donon Hi Chaalein Badal Ke Dekhte Hain
rukay to gardishain us ka tawaf karti hain
chale to us ko zamane thehr ke dekhte hain
suna hai us ke shabistan se mutasil hai bahisht
makeen udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain
ab us ke shehr main thehrain ke kooch kar jain
Faraz aao sitare safar ke dekhte hain

Ahmed Faraz - Silsile tod gaya wo sabhi jaate jaate
silsile tod gaya woh sabhi jaate jaate
warna itne to marasim thay ke aate jaate
shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha
apne hisse ki koi shama jalate jaate
kitna asaan tha tere hijr mein marna jaana
phir bhi ik umr lagi jaan se jaate jaate
jashn-e-maqtal hi na barpa hua warna hum bhi
paab-joolan hi sahi naachte gaate jaate
uski woh jaane usay paas-e-wafa tha ke na tha
tum Faraz apni taraf se to nibhaate jaate

Friday, January 16, 2015
Jaun Elia - seena dahek raha hai to kyu chup rahe koi
A beautiful ghazal by Jaun Elia
seena dahek raha hai to kyun chup rahe koi
kion cheekh cheekh kar na gala cheel le koi
Sabit Hua Sukoon-E-Dil-O-Jan Kahin Nahi..
Rishton main Dhoondta Hay To Dhoonda Kary Koi..
Tark-E-T'aluqat Koi Mas'la Nahi
Ye to wo raasta hay ke bus Chal Pare Koi..
Diwar Jaanta Tha Jisy Main Wo Dhool Thi..
Ab Mujh Ko Aitamaad Ki Daawat Na De koi..
Main khud ye chahta hon k haalat hon khrab...
Mere khilaf zehr ugalta phire koi
Ay Shakhs Ab To Mujh Ko Sabhi Kuch Qubool hai
Ye bhi Qubool hay Ke tujhe Cheen Le Koi..
Han Theek Hay Main Apni Ana Ka Mareez Hun..
Aakhir Mere mizaj Main Kiyun Dakhal De Koi..
Ik Shakhs Kar raha hay abhi tak Wafa ka zikr..
Kaash Iss Zuban-Daraaz Ka Munh noch Le Koi!!!
Jaun Elia - ashaar aur qataat
Jaun Elia - Mutaffaqir ashaa'r
shayad mujhe kisee se muhabbat nahi huee
laikin yaqeen sab ko dialta raha hoon mein
kal dopehr ajeeb si ek bedili rahi
bus teelian jala ke bujhata raha hoon mein
-----------------------------
bedili kia yunhi din guzar jayenge
sirf zinda rahe hum to mar jayenge
kitni dilkash ho tum, kitna dilju hoon mein
kia sitam hai ke hum log mar jayenge
hai ghanimat ke israr e hasti se hum
bai khabar aye hain be khabar jayenge
------------------------------
kia kahoon jan ko bachane main
Jaun khatra hai jaan jane ka
-------------------------------
Mein bhi buhat ajeeb hun' itna ajeeb hun keh bass...
Khud ko tabah kar liya aur malaal bhi nahin...
----------------------------------
Woh faqat sahan tak he aati thi.....
mein bhi hujrey se kam nikalta tha
Hum ne dekhey thay khwab sholon kay
neend aankhon mein jal gai hog
------------------------------
Main ne har bar tujh se milte waqt
Tujh se milney ki aarzoo ki hai.......
Terey jaaney kay baad bhi mein ne
Teri khush-bu se guft-gu ki hai.....
Fikr -e- ejaad mein gumm hun' mujhay ghafil na samajh...
Apney andaaz par ejaad karunga tujh ko
Elia Jaun kuch nahin karta........
Sirf khush-bu mein rang bharta hai
Aik sada honton par le k' teri gali mein shaam huay se...
Aa nikla hai ik bechara' Allah he dega' Maula he dega...
Mein jo hun' Jaun Elia hun janab
is ka bey-had lihaaz kijye ga
Kabhe jo humne barey maan se basaya tha,
Wo ghar ujarne hi wala hai, ab bhi aa jao !!!
Jisy gaye huy Khud say ab Ik zamana hua....!!!!
Wo ab bhi tum mein Bhatakta hy ab bhi Aa jao...!!!
Daad o' tehseen ka yeh shor hai kion...
Hum tau khud se kalaam kar rahe hain..
Tau kia sach much judai mujh se kar li...
Tau khud apne ko aadha kar lia kia...
bauhat nazdeek ate ja rahe ho
bicharne ka irada kar liya kia
wo apne aap se bhii judaa chaahiye mujhe
us kaa jamaal us ke sivaa chaahiye mujhe

Jaun Elia - Aik gali thi jab us se hum nikle
Aik gali thi jab us se hum nikle
aise nikle ke jaise dum nikle
koocha e aarzoo jo tha us mein
zulm-e-jaana taraa k kham nikle
jo phire dar badar yahan
woh apne ghar se bohot hi kam nikle
jin se dil ka muamla tha
yahan bohot kam e aisay gham nikle
aag dil sheher mein lagi jis din
sab se aakhir mein waan se hum nile
Jaun ye jo wajood hai, ye wajood
kiya banay gi, agar adam nikle
aise nikle ke jaise dum nikle
koocha e aarzoo jo tha us mein
zulm-e-jaana taraa k kham nikle
jo phire dar badar yahan
woh apne ghar se bohot hi kam nikle
jin se dil ka muamla tha
yahan bohot kam e aisay gham nikle
aag dil sheher mein lagi jis din
sab se aakhir mein waan se hum nile
Jaun ye jo wajood hai, ye wajood
kiya banay gi, agar adam nikle
Jaun Elia - kabhi jab muddaton k baad us ka saamna hoga
kabhi jab muddaton ke baad us ka saamna hoga
siwaye paas-e-aadaab-e-takalluf aur kya hoga?
hamare shauq ke asuda-o-khush haal hone tak,
tumhare aarzo-o-gesu ka sauda ho chuka hoga
Navayen, Nik’haten, Asooda Chehre, Dil nashin Rishte …
Magar Ek Shakhs is Mahol Mein kya Sochta Hoga
hansi aati hai mujh ko maslehat ke in taqaazon par
ke ab ik ajnabi ban kar usse pehchan na hoga
daleelon se dawa ka kaam lena sakht mushkil hai
magar is gham ki khaatir yeh hunar bhi sikhna hoga
abhi ek shor-e-hao hoo suna hai sar bano ne
wo pagal qaflay ki zid main peeche rah gaya hoga
hai nisf-e-shab, woh deewana abhi tak ghar nahi aaya
kisi se chandni raaton ka qissa chir gaya hoga

Yun hi besabab na phira karo koi sham ghar bhi raha karo
Abhi rah main kai mor hain koi aye ga koi jaey ga
tumhe jis ne dil se bhula dia usy bholne ki dua kro
mujhe ishtahar si lagti hain ye mohabbaton ki kahaniyan
jo kaha nahi wo suna karo, jo suna nahi wo kaha karo
Yun hi besabab na phira kro koi sham ghar bhi rha kro
ye ghazal ki sachi kitab hai isy chupky chupky parha karo
Koi haath bhi na milaye ga jo galay milo ge tapak se
ye nae mizaaj ka shehar hai zara faslay se mila karo

ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan jaana - Ahmad Faraz
ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan jana
yaad kya tujh ko dilayen tera paimaan jaanaa
yaad kya tujh ko dilayen tera paimaan jaanaa
yun hi mausam ki ada dekh ke yaad aya hai
kis qadar jald badal jaate hain insaan jana
kis qadar jald badal jaate hain insaan jana
zindagii teri ataa thi so tere naam ki hai
ham ne jaise bhi basar ki teraa ehasaan jana
ham ne jaise bhi basar ki teraa ehasaan jana
dil ye kehta hai k shaayad ho fasurda tu bhi
dil ki kyaa baat karen dil to hai nadaan jana
dil ki kyaa baat karen dil to hai nadaan jana
awal-awal ki muhabbat ke nashe yaad to kar
be-piye bhi tera chehara tha gulistaan jana
be-piye bhi tera chehara tha gulistaan jana
aakhir aakhir to ye aalam hai ki ab hosh nah
rag-e-mina sulag uthi i rag-e-jaan jana
rag-e-mina sulag uthi i rag-e-jaan jana
muddaton se ye aalam na tawaqqo na umeed
dil pukaare hi chala jata hai jana jana
dil pukaare hi chala jata hai jana jana
ham bhi kya sada they ham ne bhi samajh rakha tha
Gham-e-dauraan se juda hai Gham-e-jana jana
Gham-e-dauraan se juda hai Gham-e-jana jana
ab ki kuch aisi saji mahafil-e-yaaraan jana
sar-ba-zaanuu hai koi sar-ba-girebaan jana
sar-ba-zaanuu hai koi sar-ba-girebaan jana
har koi apani hii awaaz se kaanp uthata hai
har koi apane hi saaye se hirasaan jana
har koi apane hi saaye se hirasaan jana
jis ko dekho wahii zanjir-ba-paa lagta hai
shehar ka shehar howa daakhil-e-zindaan jana
shehar ka shehar howa daakhil-e-zindaan jana
ab tera zikar bhi shaayad hi Ghazal mein aaye
aur se aur howa dard ka unwaan jana
aur se aur howa dard ka unwaan jana
ham k ruthi howi rut ko bhi mana lete they
ham ne dekha hi na tha mausam-e-hijraan jana
ham ne dekha hi na tha mausam-e-hijraan jana
hosh aaya to sabhi Khawaab they reza reza
jaise urhate howe auraaq-e-pareshaan jana
jaise urhate howe auraaq-e-pareshaan jana
Poet: Ahmad Faraz
Thursday, January 15, 2015
bol ek tare jhan jhan jhan jhan
bol ek tare jhan jhan jhan jhan by Josh Malih Abadi
bol ek tare jhan jhan jhan jhan
bol ek tare jhan jhan jhan jhan
kahkasha hai meri sumran
sham ki surahi mera kundan
noor ka tadka meri chilman
tod chuka hu sare bandhan
purab pashchim utar dakhan
bol ek tare jhan jhan jhan jhan
bol ek tare jhan jhan jhan jhan
tere tan me gulshan sabke
mere man me joban sabke
mere ghat me sachan sabke
meri surat darshan sabke
sabki surat mera darshan
bol ek tare jhan jhan jhan jhan
sabki jholi meri jholi
sabki toli meri toli
sabki holi meri holi
sabki boli meri boli
sabka jiwan mera jiwan
bol ek tare jhan jhan jhan jhan
bol ek tare jhan jhan jhan jhan
sabke kajal mera tare
sabki aankhe mere tare
sabki sanse mere tare
sare insan mere pyare
sari dharti
sari dharti mera aangan
bol ek tare jhan jhan jhan jhan
bol ek tare jhan jhan jhan jhan
bol ek tare jhan jhan jhan jhan
Holi by Nazir Khayyami
Holi a masterpiece by poet Nazir Khayyami brother of Saghar Khayyami
Sar ka jurha kholey phagun
Baaghon mein ras gholey phagun
Daal-daal par doley phagun
Har-Har-Har-Har boley phagun
Aaj ka mausam rang-a-rang
Holi khelo hamrey sung.
Baaghon mein ras gholey phagun
Daal-daal par doley phagun
Har-Har-Har-Har boley phagun
Aaj ka mausam rang-a-rang
Holi khelo hamrey sung.
Imaan ko imaan se milao
Irfan ko irfan se milao
Insan ko insan se milao
Geeta ko Qur'an se milao
Dair-o-h-Haram mein ho na jung
Holi khelo hamrey sung.
Irfan ko irfan se milao
Insan ko insan se milao
Geeta ko Qur'an se milao
Dair-o-h-Haram mein ho na jung
Holi khelo hamrey sung.
(Dehaat ki Holi)
Laal sa lehenga neeley naarhey
Saada sa ek ghunghat karhey
Galiyaron par nazrein garhey
Man mandir ke kholey kiwarhe
Aayenge saajan le ke rang
Holi khelo hamrey sung.
Saada sa ek ghunghat karhey
Galiyaron par nazrein garhey
Man mandir ke kholey kiwarhe
Aayenge saajan le ke rang
Holi khelo hamrey sung.
(Shehr ki Holi)
Nazuk-nazuk paon mein chappal
Bikhre-bikhre zulf ke baadal
Phaila-phaila aankh ka kaajal
Bheega-bheega goad ka aanchal
Bhari jawaani jumper tung
Holi khelo hamrey sung.
Bikhre-bikhre zulf ke baadal
Phaila-phaila aankh ka kaajal
Bheega-bheega goad ka aanchal
Bhari jawaani jumper tung
Holi khelo hamrey sung.
Tuesday, January 13, 2015
jo meri aankhoan se khwab dekho
jo meri aankhoan se khwab dekho
to aik shab bhi na so sako ge
ke lakh chaho na hans sako ge
hazar chaho na ro sako ge
ke khwab kia hain azab hain ye
meri dukhon ki kitaab hain ye
rafaqatain in main choot ti hain
muhabatain in main rooth ti hain
panapti hain in main wahshatain si
azeeyatain in main phoot ti hain
to aik shab bhi na so sako ge
ke lakh chaho na hans sako ge
hazar chaho na ro sako ge
ke khwab kia hain azab hain ye
meri dukhon ki kitaab hain ye
rafaqatain in main choot ti hain
muhabatain in main rooth ti hain
panapti hain in main wahshatain si
azeeyatain in main phoot ti hain
mehr ki tujh se tawaquh thi
Poet: Mir Taqi Mir
mehr ki tujh se tawaquh thi sitamgar nikla
moam samjhe thay tere dil ko so pathar nikla
jitne he aah tere kooche se koi na phira
jo sitam deeda rah ja ke so mar nikla
dil ki aabadi ki iss had kharabi ke na pooch
jana jana hai ke iss rah se lashkar nikla
ashk tar, qatra khoon, lakht jigar, para dil
aik se aik ad aankh se bah kar nikla
hum ne jana tha likhe ga tu koi harf ae mir
par tera nama to ek shoq ka daftar nikla

ghazal by Mir Taqi Mir
ghussay se uth chale ho jo daman ko jhaar kar
jate rahain ge hum bhi garaiban phaar kar
dil wo nagar nahi ke phir abad ho sake
pachtao ge suno ho ye basti ujaar kar
ya rab rah e talab main koi kab talak phire
taskeen de kar baith raha hoon paoon gaar kar

Friday, January 9, 2015
Amjad Islam Amjad - Kalaam
yahi bauhat hai ke dil us ko dhoond laya hai
kisee ke sath sahi wo nazar to aya hai
Zindagi ke mele main - Amjad Islam Amjad
zindagi ke mele mein
KhvaahishoN ke rele meN
tum se kya kaheN jaanaaN
is qadar jhamele meN
vaqt kii ravaanii hai
baKht kii giraanii hai
sakht bezamiinii hai
saKht lamakaanii hai
hijr ke samandar meN
taKht aur taKhte kii
ek hii kahaanii hai
tum ko jo sunaanii hai
baat go zara sii hai
baat umr bhar kii hai
umr bhar kii baateN kab
do ghaRi meN hotii haiN
dard ke samandar meN
an-ginat jaziire haiN
beshumaar motii haiN
aankh ke dariiche meN
tum ne jo sajaayaa tha
baat us diye kii hai
baat us gile kii hai
jo lahuu kii Khilvat meN
chor ban ke aataa hai
lafz kii fasiiloN par
TuuT TuuT jaataa hai
zindagii se lambii hai
baat rat_jage kii hai
raaste meN kaise ho
baat taKhaliye kii hai
taKhaliye kii baatoN meN
guftguu izaafii hai
pyaar karne vaaloN ko
ik nigaah kaafii hai
ho sake to sun jaayo
ek din akele meN
tum se kya kaheN jaanaaN
is qadar jhamele meN !
KhvaahishoN ke rele meN
tum se kya kaheN jaanaaN
is qadar jhamele meN
vaqt kii ravaanii hai
baKht kii giraanii hai
sakht bezamiinii hai
saKht lamakaanii hai
hijr ke samandar meN
taKht aur taKhte kii
ek hii kahaanii hai
tum ko jo sunaanii hai
baat go zara sii hai
baat umr bhar kii hai
umr bhar kii baateN kab
do ghaRi meN hotii haiN
dard ke samandar meN
an-ginat jaziire haiN
beshumaar motii haiN
aankh ke dariiche meN
tum ne jo sajaayaa tha
baat us diye kii hai
baat us gile kii hai
jo lahuu kii Khilvat meN
chor ban ke aataa hai
lafz kii fasiiloN par
TuuT TuuT jaataa hai
zindagii se lambii hai
baat rat_jage kii hai
raaste meN kaise ho
baat taKhaliye kii hai
taKhaliye kii baatoN meN
guftguu izaafii hai
pyaar karne vaaloN ko
ik nigaah kaafii hai
ho sake to sun jaayo
ek din akele meN
tum se kya kaheN jaanaaN
is qadar jhamele meN !
khwad toot jate hain by Amjad Islam Amjad
Khwaab TuuT jaate haiN
bhiiR meN zamaane kii, haath ChhuuT jaate haiN dost_daar lehje meN silwateN sii paRti haiN
ik zara si ranjish se
shak ki zard Tehni par phuul badgumani ke
is tarah se khilte haiN
zindagi se pyaare bhii
ajnabi se lagte haiN, ghair ban ke milte haiN
umr bhar ki chaahat ko aasra nahiiN milta
Khamushi ke waqfoN meN
baat TuuT jaati hai aur sira nahiiN milta!
m’aazrat ke lafzoN ko raushni nahiiN milti
lazzat-e-paziirai, phir kabhi nahiiN milti
phuul rang vaadoN ki manzileN sukaRti haiN
raah muRne lagti hai
berukhi ke gare se bedili ki mitti se
faasle ki iintoN se, iint juRne lagtii hai
khaak uRne lagtii hai
Khwaab TuuT jaate haiN
vaahmoN ke saaye se, umr bhar ki mehnat ko
pal meN luuT jaate haiN
ik zara si ranjish se
saath ChhuuT haiN
bhiiR meN zamane kii
haath ChhuuT jaate haiN
Khwaab TuuT jaate haiN
hum log - Amjad Islam Amjad
hum log by Amjad Islam Amjad
daaiyroN meN chalne se
daaire to bhaRte haiN
faasle nahiiN ghaTte!!
aarzuueN chalti haiN
jis taraf ko jaate haiN
manzileN tamannaa kii
saath saath chalti haiN!
gard uRti rehti hai
dard baRhtaa jaata hai
raaste nahiiN ghaTte!
subah dam sitaaroN kii tez jhilmilaahaT ko
raushni ki aamad ka pesh baab kehte haiN
ik kiran jo milti hai, aftaab kehte haiN
daaira badalne ko inqelaab kehte haiN!
Bewafai ki mushkilain - Amjad Islam Amjad
Bewafai ki mushkilain
hamaare dil se nikloge
to itnaa jaan lo pyaare
vafa ki siiRhioN par har qadam phaila hua
yeh aarzuuoN ka lahu zaaya' na jaayega!
samundar saamne hoga, agar saahil se nikloge!
sitaare, jin kii aaNkhoN ne hameN ik saath dekhaa hai,
gavaahii dene aayeNge!
puraane kaaghazoN ki balkoni se bahut se lafz jhaankeNge,
tumheiN vaapas bulaayeNge!
kaii vaade, fasaadii qarz_KhwahoN ki tarah raste meiN rokeNge
tumheiN daaman se pakReNge
tumhaari jaan khaayeNge!
Chhupa kar kis tarah chehra
bhari mehfil se nikloge?!
zara phir soch lo jaanaN,
nikal to jaayoge shaayad,
magar mushkil se nikloge!!
Muhabbat ki aik nazm - Amjad Islam Amjad
Muhabbat ki aik nazm by Amjad Islam Amjad
To chand ratoon ki narm dilgeer roshni main
Kisi sitarey ko dekh lena
Agar who nakhle falak se ur kar tumharey qadmoo’n mey aa girey to
Yeh jan lena, who esteaara thaa mere dil ka,
Agar naa aaey…..
Magar yeh mumkin hi kis tarha hai keh tum kisi per nigah dalo
To us ki dewar e jaa’n naa tootey
Who apni hasti naa bhool jaey!
Agar kabhi meri yaad aaey
Guraiz karti hawa ki lehroo’n pe hath rakhna
Main khushboo’n mey tumhey miloo’n ga
Mujhey gulab ki patioo’n mey talash karna
Mein ous qatroo’n kay aainoo’n mey tumhey miloo’n gaa
Agar sitaroo’n mey, ous khatroo’n mey, khushboo’n mey’ na pao mujh ko
To apney Qadmoo’n mey dekh lena
Mey gard hoti musafatoo’n mey tumhey miloo’n ga
Kahee’n pe roshan chiragh dekho to jan lena
Keh har patingey kay sath mey bhee bikhar chukka hoo’n
Tum apney haatoo’n sey un patingoo’n ki khaak darya mey daal dena
Mey khaak ban kar samandaroo’n mey safar karoo’n gaa
Kisi na dekhey hoey jazirey pe ruk kay tum ko sadaein doon gaa
Samandaroo’n kay safar peh niklo to us jazirey peh bhee utarna
Happy Birthday Sonia
Aaj tumhari Salgirah hai dekho hum ko yaad hai na...!!
jalti shamein roshan chehre
kamni ladiyaan nazuk sehray
nargis,bela,motia,lala
juhi,champa aur banafsha
har koi shaad hai naa
aaj tumhari saalgirah hai
dekho hum ko yaad hai na
kamni ladiyaan nazuk sehray
nargis,bela,motia,lala
juhi,champa aur banafsha
har koi shaad hai naa
aaj tumhari saalgirah hai
dekho hum ko yaad hai na
hum tou sirf duago log
khaak o maher ka kya sanjoug
paas rahein ya door rahein
wehshat se ranjoor rahein
mehfil tou aabaad hai na
aaj tumhari saalgirah hai
dekho hum ko yaad hai na
khaak o maher ka kya sanjoug
paas rahein ya door rahein
wehshat se ranjoor rahein
mehfil tou aabaad hai na
aaj tumhari saalgirah hai
dekho hum ko yaad hai na
tark e taaluq khoob kiya
dil per kari waar saha
nouch di konpal chahat ki
aas na rakhi raahat ki
dil mehv e fariyaad hai na
aaj tumhari saalgirah hai
dekho hum ko yaad hai na
dil per kari waar saha
nouch di konpal chahat ki
aas na rakhi raahat ki
dil mehv e fariyaad hai na
aaj tumhari saalgirah hai
dekho hum ko yaad hai na
kaise kaise khwaab bunay
rang brange khwaab chunay
saalgirah ka cake katey ga
haath pe un ka haath rahe ga
khwaab har aik barbaad hai na
aaj tumhari saalgirah hai
dekho hum ko yaad hai na.....!!!
rang brange khwaab chunay
saalgirah ka cake katey ga
haath pe un ka haath rahe ga
khwaab har aik barbaad hai na
aaj tumhari saalgirah hai
dekho hum ko yaad hai na.....!!!
Dedicated to someone I loved more than anyone in my life, I hope she is happy no matter where ever she is!!!!
Naqsh fariyadi Mirza Ghalib
Naqsh fariyadi by Mirza Ghalib
نقش فریادی ہے کس کی شوخیِ تحریر کا
کاغذی ہے پیرہن ہر پیکرِ تصویر کا
kaghazi hai pairahan her paikar-e tasvir ka
kav kav-e sakht jani hai tanhai, na puchh
subh karna sham ka, lana hai ju-e shir ka
jazba-e be ikhtiar-e shauq dekha chahiye
sin’a-e shamshir se bahar hai dam shamshir ka
agahi dam-e shanidan jis qadar chahe bichhae
muddaa unqa hai apne alam-e taqrir ka
bas ke hun Ghalib asiri men bhi atish zer pa
mue atish dida hai halqa meri zanjir ka
Subscribe to:
Posts (Atom)