jee hi jee mein woh Jal rahi hogi
Jaun Elia sahab ki aik intihai khubsurat aur musalsal ghazal:
jee hi jee mein woh Jal rahi hogi
chandni mein tehal rahi hogi
chaand ne taan lee hai chadar e abr
ab woh kapray badal rahi hogi
so gai ho gi wo shafaq indaam
sabz qandeel jal rahi ho gee
surkh aur sabz wadiyon ki taraf
woh mere saath chal rahi hogi
charhtay charhtay kisi pahaari per..
ab woh karvat badal rahi hogi..
pairh Ki Chaal Se Raggar Kha Ker..
woh tanay se phisal rahi hogi..
ho ke khwab e aesh sey bedar
kitni hi dair shal rahi hogi
No comments:
Post a Comment