Thursday, February 26, 2015

Allah he dega maula he dega by Jaun Elia

dil hai sawali tujh se dil aara, Allah hi dega maula hi dega
aas hai teri hee dil dara, Allah hi dega maula hi dega

palkon ki jholi phaili hai, par jain us main kuch kirnain
tu hai dil akash ka tara, Allah he dega maula he dega

aik sada honton pe le ke, teri gali main sham hue se
aa nikla hai ek bechara, Allah hi dega maula hi dega

Mehak utha hai aangan is khabar se - Jaun Elia

Mehak utha hai aangan is khabar se
Woh khushboo lot aa'i hai safar se
Judaa'i ne usse dekha sarr-e-baam
Dareenche par shafaq ke rang barse
Mai is deewaar par chadh to gaya tha
Utare kon ab deewar par se
Gilla hai ek gali se shehar-e-dil ki
Mai ladta phir raha hun shehr bhar se,
Mere maanand guzra kar meri jaan
Kabhi to khud bhi apni raahguzar se

Naya ek rishta paida kyun karain hum by Jaun Elia

Naya ek rishta paida kyun karain hum
Bicharna hai to jhhagra kyon karain hum
Khamoshi se ada ho rasm.e.Duri
Koi humgama barpa kyon karain hum
Ye kafi hai k hum dushman nahi hain
Wafa-Dari ka da’awa kyon karain hum
Wafa, ikhlaas, qurbani, mohabbat
Ab inn lafzon ka peecha kyon karain hum
Suna dain ismat.e.Maryam ka qissa?
Par ab iss baab ko waa kyon karain hum
Zulekhaa.e.Azeezaan baat ye hai
Bhala ghaatay ka sauda kyon karain hum
Hamari hee tamanna kyon karo tum
Tumhari hee tamanna kyon karain hum
Kia tha e’had jab lamhon mein hum nay
To saari umar iifa kyon karain hum
Nahi dunya ko jab parwah hamari
To phir dunya ki parwah kyon karain hum
Barehna hain sar.e.Bazaar to kia
Bhala andhon se pardah kyon karain hum
Hain baashinday issi basti ke hum bhi
So khud par bhi bharosa kyon karain hum
Pari rehnay do insaanon ki laashain
Zameen ka bojh halka kyon karain hum
Ye basti hai muslamaanon ki basti
Yahan kar.e.Maseeha kyon karain hum
Poet: Jaun Elia

Friday, February 13, 2015

A shair by Jaun Elia

ab to jis toar bhi guzar jaye koi israr zindagi se nahi
us ke gham main kiya sabhi ko maaf koi shikwa bhi ab kisee se nahi

Ramz by Jaun Elia

Ramz

tum jab ao gee to khoya hua pao gee mujhe
meri tanhai main khwaboan ke siwa kuch bhi nahi
mere kamre ko sajane ki tamanna hai tumhain
mere kamre main kitaboan ke siwa kuch bhi nahi
in kitaboan ne bara zulm kiya hai mujh par
inn main aik ramz hai jis ramz ka mara hua zehan
muzda e ishrat e anjam nahi pasakta
zindagi main kabhi aram nahi pasakta

Wednesday, February 11, 2015

koi deewana kehta hai - Dr. Kumar Vishwas

Koi Deewana Kehta Hai Koi Pagal Samajhta Hai
Magar Dharti Ki Bechani Ko Bus Badal Samajhta Hai
Mein Tujhse Door Kaisa Hoon, Tu Mujhse Door Kaisi Hai
Ye Tera Dil Samajhta Hai Ya Mera Dil Samajhta Hai

K Mohhabat Ek Ehsason Ki Pavan Si Kahani Hai
Kabhi Kabira Deewana Tha Kabhi Meera Deewani Hai
Yahan Sab Log Kehte Hain Meri Aakhon Mein Aansu Hai
Jo Tu Samjhe To Moti Hai Jo Na Samjhe To Pani Hai

Samander Peer Ka Aander Hai Lekin Ro Nahi Sakta
Ye Aansu Pyar Ka Moti Hai Isko Kho Nahi Sakta
Meri Chahata Ko Dulhan Tu Bana Lena Magar Sun Le
Jo Mera Ho Nahi Paya Wo Tera Ho Nahi Sakta

Bharar Koi Kumudani Par Machal Baitha To Hungama
Hamare Dil Mein Koi Khawab Pal Baitha To Hungama
Aabhi Tak Doob Kar Sunte The Sab Kissa Mohhabat Ka
Mein Kisse Ko Hakikat Mein Badal Baitha To Hungama

aap apna ghubar thay hum to - Jaun Elia

aap apna ghubaar thay hum to,
yaad thay yaad-gaar thay hum to,

pardagee! humsay kyun rakha perdah,
teray he perdah-dar thay hum to,

waqt kee dhop mein tumhare liye,
shajar-e-saayah-daar thay hum to,

uray jatay hen dhool kee maanind,
aandhiyon per sawaar thay hum to,

humnay kyun khud pe aitebaar kia,
sakht be-aitebaar thay hum to,

sharm hai apnee baar baaree kee,
be-sabab baar baar thay hum to,

kyun humen ker dia gaya majboor,
khud he be-ikhtiyaar thay hum to,

tumnay kesay bhula dia hum ko,
tum say he muta'aar thay hum to,

khush na aaya humen ji'ye jaana,
lamhay lamhay pay baar thay hum to,

seh bhee letay humaray taa'no ko,
jaan-e-mun jaan-nisaar thay hum to,

khud ko doraan-e-haal mein apnay,
be-tarah na-gawaar thay hum to,

tumnay hum to bhee kerdia berbaad,
nadir-e-roz.gaar thay hum to,

hum ko yaaron nay yaad bhee na rakha,
'jaun' yaaron k yaar thay hum to

Poet: Jaun Elia